kis liye dekhti ho aaeena
tum to khud se bhi khoobsoorat ho
Juan Eliya
Category: Poetry
GHAZAL: vohi be-kaar ki baateN, vohi be-kaar ke qisse
meri eik ghazal ki kahaaniContinue reading“GHAZAL: vohi be-kaar ki baateN, vohi be-kaar ke qisse”
kis se poochheN
Ghazal Amit Malhotra 'Tanha' kis se poochheiN k maajraa kyaa hai? ye sanam kyaa hai, ye Khudaa kyaa hai? maiN to aashiq houN, mujhko kya ma'aloom ye fanaa kyaa hai, ye baqaa kya hai bas tire Gham ki aarzoo hai mujhe aur duniyaa se vaastaa kyaa hai? MaiN tira dost bhi pujaari bhi! aa mire dil meiN sochtaa kyaa hai? chand lamhe haiN aakhir-e-shab ko zikr-e-waslat meiN yuuN rakhaa kya hai? bewafaa! tujh se kyaa shikaayat ho? zeest ne bhi mujhe diyaa kyaa hai? raaz-e-hastii saa ban gaya houN maiN meri aankhoN meiN DhooNDtaa kyaa hai? dekh "tanhaa" ko, kaise phirta hai kaun jaane use huaa kyaa hai ! ye jo 'tanhaa' hai ise kuchh na kaho khud ko jaane ye samajhtaa kyaa hai کس سے پوچھیں کہ ماجرا کیا ہے؟ یہ صنم کیا ہے، یہ خدا کیا ہے؟ میں تو عاشق ہوں، مجھ کو کیا معلوم یہ فنا کیا ہے، یہ بقا کیا ہے بس ترے غم کی آرزو ہے مجھے اور دنیا سے واسطہ کیا ہے؟ میں ترا دوست بھی پجاری بھی آ مرے دل میں، سوچتا کیا ہے؟ چند لمحے ہیں آخرِ شب کو ذکرِ وصلت میں یوں رکھا کیا ہے؟ بیوفا! تجھ سے کیا شکایت ہو؟ ذیست نے بھی مجھے دیا کیا ہے؟ رازِ ہستی سا بن گیا ہوں میں میری آنکھوں میں ڈھونڈتا کیا ہے؟ دیکھ "تنہا" کو، کیسے پھرتا ہے کون جانے اُسے ہوا کیا ہے! یہ جو "تنہا" ہے اِسے کچھ نہ کہو خود کو جانے یہ سمجھتا کیا ہے
kaanTay
kaanTay
kaanTay Shoaib Tanvir Shoaib mohabbat ka voh ik poda jo apne haath se tum ne miray dil meiN lagaaya tha jise apna lahoo de kar bohat armaan se maiN ne baRi chaahat se seNcha tha bahaar aai to ab us meiN faqat kaanTay hi aaye haiN
maskharoN ko janaab hi likkha
hum ne is shaihr-e-deen-o-dualat meiN
maskharoN ko janaab hi likkha
maiN chaal chalooN to tumheiN maat na ho gi
tum madd-e-muqaabil ho magar jaan ho meri
maiN chaal chalooN to tumheiN maat na ho gi
raastay meiN koii divaar uTha di jaaye
jis ko dekho vohi sehra meiN chala aata hai
raastay meiN koii divaar uTha di jaaye
yaheeN kaheeN koii khanjar miri talaash meiN hai
maiN saazishoN meiN ghira ki yateem shehzada
yaheeN kaheeN koii khanjar miri talaash meiN hai
majnooN majnooN log kaheN haiN, majnooN hum sa kya ho ga
ashk gire haiN khoon bahe hai haal jigar ka kya ho ga
majnooN majnooN log kaheN haiN, majnooN hum sa kya ho ga
voh jis ke saath hai, Lahore saara us ka hai
yeh nahar us ki hai aur is per kinaara us ka hai
voh jis ke saath hai, Lahore saara us ka hai