meri eik ghazal ki kahaani
bohat taveel arsa pehle maiN ne eik ghazal kahi thi. maiN ne yeh ghazal mehfil-e-sukhan forum par post ki thi. Is ghazal par mere azeez dost Azm Behzad sahib marhoom ne islaah de kar is ki noke palak saNvari thi. yeh 2007 ya us ke aas paas ka zikr hai.
us ke chand saal b’ad, ab saal yaad naheeN, PTV ke shohrat-yaafta adakaara Neelofar Abbasi aur un ke shohar producer Qamar Ali Abbasi, Toronto meiN eik taqreeb meiN mehmaan-e-khusoosi ban kar aaye aur is taqreeb ki sadaarat Himayat Ali Shair sahib marhoom ne ki thi. maiN ne yeh ghazal vahaaN paRhi thi aur ahl-e-mehfil ne is ki parerai aur t’areef ki.
maiN ne YouTube par apni is ghazal ko, kuchh ash’aar ki maskh-shuda shakal ke saath, dekha hai jahaaN mukhtalif logoN ne ise apni aavaaz meiN paRha hai. Facebook par bhi aksar is ki kuchh maskh-shuda ash’aar ke saath tasveereN dekhne meiN aaeeN.
maiN ne kabhi kisi qism ki islaah ki koshish naheeN ki na hi kisi se kuchh kaha.
lekin is saal eik ajeeb baat hui. Muhammad Mahmood Mughal (Meem MeeM Mughal), jo mere dost haiN aur chhoTe bhaai ki tarah haiN, se pata chal ke eik khatoon sh’aira eik arse se is ghazal ko apne naam se Karachi ki mehfiloN paRhti rahi haiN. main ne yeh m;aamla khuda par chhoR diya. beshak voh har cheez ki haqeeqat jaanta hai.
Inti lambi daastaan ke liye maiN sab se m’azrat karta hooN. maiN bas is ghazal ki haqeeqat aur sachaii ko internet par mahfooz karna chaahta tha.
I just wanted to set the record straight. And with that in mind, here is my ghazal. Most of you have probably already read it, so please accept my apologies.
* * * bohat farsooda lagte haiN mujhe ab pyaar ke qisse gul-o-gulzaar ki baateN, lab-o-rukhsaar ke qisse yahaaN sab ke muqadaar meiN faqat zakhm-e-judaaii hai sabhi jhooTe fasaane haiN visaal-e-yaar ke qisse bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka peT bharta hai? suno tum ko sunaata hooN maiN kaar-o-baar ke qisse mire ehbaab kehte haiN, yehi ik aib hai mujh meiN sar-e-deevaar likhta hooN pas-e-deevaar ke qisse kahaani qais-o-laila ki bohat hi khoob hai lekin mire dil ko lubhaate haiN rasan aur daar ke qisse maiN kese khoon rota hooN vatan ki daastaanoN par kabhi tum bhi to sun jaaoo mire aazaar ke qisse Shoaib aksar maiN logoN se isi kaaran naheeN milta vohi be-kaar ki baateN, vohi be-kaar ke qisse * * * بہت فرسودہ لگتے ہیں مجھے اب پیار کے قصے گل و گلزار کی باتیں، لب و رخسار کے قصے یہاں سب کے مقدر میں فقط زخمِ جدائی ہے سبھی جھوٹے فسانے ہیں وصالِ یار کے قصے بھلا عشق و محبت سے کسی کا پیٹ بھرتا ہے؟ سنو تم کو سناتا ہوں میں کاروبار کے قصے مرے احباب کہتے ہیں یہی اک عیب ہے مجھ میں سرِ دیوار لکھتا ہوں، پسِ دیوار کے قصے کہانی قیس و لیلیٰ کی بہت ہی خوب ہے لیکن مرے دل کو لبھاتے ہیں رسن اور دار کے قصے میں کیسے خون روتا ہوں وطن کی داستانوں پر کبھی تم بھی تو سن جاوؐ مرے آزار کے قصے شعیبؔ اکثر میں لوگوں سے اِسی کارن نہیں ملتا وہی بیکار کی باتیں، وہی بیکار کے قصے شعیب تنویر شعیبؔ